main kitna tanha hun koi meri zaban samjhe na baat samjhe
maiñ kitnā tanhā huuñ koī merī zabān samjhe na baat samjhe
na mere din ko vo din hī maane na raat ko merī raat samjhe
maiñ jis ko apnā samajh ke lams-e-hayāt detā rahā ḳhushī se
vo mujh ko misl-e-habāb maane karāmat-e-be-sabāt samjhe
ye sar-zamīñ ḳhushnumā hai is meñ bahut se koh-o-daman haiñ lekin
koī hazārā kahe use kyoñ koī use kyoñ savāt samjhe
maiñ kaise mānūñ jo dard kī mai kashīd kar ke pilā.e har pal
vo mujh ko har saañs ziist maane aur apnī kul kā.enāt samjhe
kisī ko kyā ab batā.eñ 'āsim' ki zindagī marg-e-mustaqil hai
vahāñ ye bhī siskiyāñ sunī ham ne jis ko shahr-e-hayāt samjhe
main kitna tanha hun koi meri zaban samjhe na baat samjhe
na mere din ko wo din hi mane na raat ko meri raat samjhe
main jis ko apna samajh ke lams-e-hayat deta raha KHushi se
wo mujh ko misl-e-habab mane karamat-e-be-sabaat samjhe
ye sar-zamin KHushnuma hai is mein bahut se koh-o-daman hain lekin
koi hazara kahe use kyon koi use kyon sawat samjhe
main kaise manun jo dard ki mai kashid kar ke pilae har pal
wo mujh ko har sans zist mane aur apni kul kaenat samjhe
kisi ko kya ab bataen 'asim' ki zindagi marg-e-mustaqil hai
wahan ye bhi siskiyan suni hum ne jis ko shahr-e-hayat samjhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.