main kiye jaunga taqsir kahan tak aaKHir
Interesting Fact
(Tamir-e-Urdu) (October 8, 1966)
maiñ kiye jā.ūñgā taqsīr kahāñ tak āḳhir
tū na degā mujhe ta.azīr kahāñ tak āḳhir
mere har harf kī tafsīr kahāñ tak āḳhir
jazba-e-shauq kī tash.hīr kahāñ tak āḳhir
ye kisī taur bhī pāband nahīñ ho saktī
pā-e-taḳhyīl meñ zanjīr kahāñ tak āḳhir
naql phir naql hai kyā asl se nisbat us ko
dil ko bahlā.egī tasvīr kahāñ tak āḳhir
der to hotī hai andher nahīñ hotā hai
yuuñ sahī phir bhī ye tāḳhīr kahāñ tak āḳhir
maiñ to har raat na.e ḳhvāb ke letā huuñ maze
aap farmā.eñge ta.abīr kahāñ tak āḳhir
ise sharminda-e-īsār-o-amal hone de
kaam degī tirī taqrīr kahāñ tak āḳhir
aur uljheñge tashaddud se masā.il ai dost
ye har ik baat meñ shamshīr kahāñ tak āḳhir
harf aatā hai mirī himmat-e-mardāna par
shikva-e-gardish-e-taqdīr kahāñ tak āḳhir
jaane kyuuñ chashm-e-karam phir ga.ī terī mujh se
maiñ rahūñ ḳhasta-o-dil-gīr kahāñ tak āḳhir
kabhī hogā bhī asar merī duā meñ shāmil
uf ye mahrūmī-e-tāsīr kahāñ tak āḳhir
kuchh izāfa bhī to lāzim hai adab meñ hamdam
ye faqat pairvī-e-'mīr' kahāñ tak āḳhir
kabhī rāzī-ba-razā ho ke bhī dekho 'tālib'
har nafas koshish-o-tadbīr kahāñ tak āḳhir
main kiye jaunga taqsir kahan tak aaKHir
tu na dega mujhe tazir kahan tak aaKHir
mere har harf ki tafsir kahan tak aaKHir
jazba-e-shauq ki tashhir kahan tak aaKHir
ye kisi taur bhi paband nahin ho sakti
pa-e-taKHyil mein zanjir kahan tak aaKHir
naql phir naql hai kya asl se nisbat us ko
dil ko bahlaegi taswir kahan tak aaKHir
der to hoti hai andher nahin hota hai
yun sahi phir bhi ye taKHir kahan tak aaKHir
main to har raat nae KHwab ke leta hun maze
aap farmaenge tabir kahan tak aaKHir
ise sharminda-e-isar-o-amal hone de
kaam degi teri taqrir kahan tak aaKHir
aur uljhenge tashaddud se masail ai dost
ye har ek baat mein shamshir kahan tak aaKHir
harf aata hai meri himmat-e-mardana par
shikwa-e-gardish-e-taqdir kahan tak aaKHir
jaane kyun chashm-e-karam phir gai teri mujh se
main rahun KHasta-o-dil-gir kahan tak aaKHir
kabhi hoga bhi asar meri dua mein shamil
uf ye mahrumi-e-tasir kahan tak aaKHir
kuchh izafa bhi to lazim hai adab mein hamdam
ye faqat pairwi-e-'mir' kahan tak aaKHir
kabhi raazi-ba-raza ho ke bhi dekho 'talib'
har nafas koshish-o-tadbir kahan tak aaKHir
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.