main koi gul hun ki sar apne chaDhao logo
maiñ koī gul huuñ ki sar apne chaḌhāo logo
maiñ to huuñ qarz mujhe sar se utāro logo
kyā kināre pe khaḌe soch rahe ho logo
man ke sāgar meñ bhī to ġhota lagāo logo
tā-ba-ke yūñhī tasavvur meñ tarāshoge sanam
kyoñ tasavvur ko na tasvīr meñ Dhālo logo
chashm-e-dīvār se jis kī na Tapaktā ho lahū
shahr meñ ek bhī ghar aisā dikhā do logo
muñh ke bal ḳhud na kahīñ gir paḌe sar-afrāzī
be-dhaḌak saa.e ke pīchhe to na dauḌo logo
jin kā vijdān latāfat se ho yaksar aarī
aise naqqādoñ se lillāh bachāo logo
main koi gul hun ki sar apne chaDhao logo
main to hun qarz mujhe sar se utaro logo
kya kinare pe khaDe soch rahe ho logo
man ke sagar mein bhi to ghota lagao logo
ta-ba-ke yunhi tasawwur mein tarashoge sanam
kyon tasawwur ko na taswir mein Dhaalo logo
chashm-e-diwar se jis ki na Tapakta ho lahu
shahr mein ek bhi ghar aisa dikha do logo
munh ke bal KHud na kahin gir paDe sar-afraazi
be-dhaDak sae ke pichhe to na dauDo logo
jin ka wijdan latafat se ho yaksar aari
aise naqqadon se lillah bachao logo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.