main kuchh samjha nahin kya tha muqabil
maiñ kuchh samjhā nahīñ kyā thā muqābil
magar kuchh thā tamāsha sā muqābil
maiñ apnī fat.h par nāzāñ nahīñ huuñ
pa suntā huuñ ki thī duniyā muqābil
ta'āqub meñ hai yā phir muntazir hai
koī chehra pas-e-chehra muqābil
havas hai manzaroñ ko dekhne kī
aur us par chashm-e-āvāra muqābil
'ajab sāzish chalī hai raushnī ne
ki ḳhud pīchhe hai aur saaya muqābil
main kuchh samjha nahin kya tha muqabil
magar kuchh tha tamasha sa muqabil
main apni fath par nazan nahin hun
pa sunta hun ki thi duniya muqabil
ta'aqub mein hai ya phir muntazir hai
koi chehra pas-e-chehra muqabil
hawas hai manzaron ko dekhne ki
aur us par chashm-e-awara muqabil
'ajab sazish chali hai raushni ne
ki KHud pichhe hai aur saya muqabil
- Book : Kitab Gumrah Kar Rahi Hai (Pg. 69)
- Author : Shahram Sarmadi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.