main kya bataun ki maqsud-e-justuju kya hai
maiñ kyā batā.ūñ ki maqsūd-e-justujū kyā hai
mirī nigāh ko sadiyoñ se aarzū kyā hai
ye raaz mujh ko batāyā tirī nigāhoñ ne
jo ḳhāmushī hai takallum to guftugū kyā hai
jo koī pūchhe to maiñ ḳhud batā nahīñ saktā
mire shu.ūr meñ mafhūm-e-rang-o-bū kyā hai
kise ḳhabar hai ki kab us ne bolnā sīkhā
koī batā.e ki tārīḳh-e-guftugū kyā hai
jab is meñ ahl-e-junūñ hī nahīñ hue shāmil
to phir ye shahr meñ taqrīb-e-hā-o-hū kyā hai
ye abrahā ke pujārī ye ahraman ke supūt
inheñ ḳhabar hī nahīñ hai ki sulh-jū kyā hai
vufūr-e-dard se āñkheñ chhalaktī rahtī haiñ
maiñ mast-e-ġham huuñ mujhe hājat-e-subū kyā hai
ukhaḌ ga.e haiñ bahar-gām paañv tūfāñ ke
ḳhudā ho saath to phir sāzish-e-adū kyā hai
'sirāj' bhuul ga.e tum bhī is haqīqat ko
dayār-e-nang meñ tashkīl-e-ābrū kyā hai
main kya bataun ki maqsud-e-justuju kya hai
meri nigah ko sadiyon se aarzu kya hai
ye raaz mujh ko bataya teri nigahon ne
jo KHamushi hai takallum to guftugu kya hai
jo koi puchhe to main KHud bata nahin sakta
mere shuur mein mafhum-e-rang-o-bu kya hai
kise KHabar hai ki kab us ne bolna sikha
koi batae ki tariKH-e-guftugu kya hai
jab is mein ahl-e-junun hi nahin hue shamil
to phir ye shahr mein taqrib-e-ha-o-hu kya hai
ye abraha ke pujari ye ahraman ke suput
inhen KHabar hi nahin hai ki sulh-ju kya hai
wufur-e-dard se aankhen chhalakti rahti hain
main mast-e-gham hun mujhe hajat-e-subu kya hai
ukhaD gae hain bahar-gam panw tufan ke
KHuda ho sath to phir sazish-e-adu kya hai
'siraj' bhul gae tum bhi is haqiqat ko
dayar-e-nang mein tashkil-e-abru kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.