main kya kahun ki haal hai kya hijr-e-yar mein
maiñ kyā kahūñ ki haal hai kyā hijr-e-yār meñ
dil iḳhtiyār meñ na jigar iḳhtiyār meñ
dushman ko dekhte haiñ kanakhiyoñ se bazm meñ
kuchh shoḳhiyāñ bhī haiñ nigah-e-sharmsār meñ
rizvāñ ko bhī to hai tirī mahfil kī aarzū
merā hai kyā hisāb maiñ huuñ kis shumār meñ
jaane na dūñgā phir dil-e-nādāñ ko haath se
aa jaa.e ab kī gar vo mire iḳhtiyār meñ
un kā masal masal ke mire dil ko pūchhnā
kyoñ dard ho rahā hai dil-e-be-qarār meñ
surma lagā rahe haiñ vo mere ġhubār kā
miT kar samā gayā huuñ ġharaz chashm-e-yār meñ
vaa.iz kī bahkī bātoñ meñ aa.uuñ ḳhudā kī shaan
maiñ aur mai se tauba karūñ aur bahār meñ
'nashtar' vo din kahāñ haiñ vo rāteñ kidhar ga.iiñ
qaabū meñ thā vo shoḳh to dil iḳhtiyār meñ
main kya kahun ki haal hai kya hijr-e-yar mein
dil iKHtiyar mein na jigar iKHtiyar mein
dushman ko dekhte hain kanakhiyon se bazm mein
kuchh shoKHiyan bhi hain nigah-e-sharmsar mein
rizwan ko bhi to hai teri mahfil ki aarzu
mera hai kya hisab main hun kis shumar mein
jaane na dunga phir dil-e-nadan ko hath se
aa jae ab ki gar wo mere iKHtiyar mein
un ka masal masal ke mere dil ko puchhna
kyon dard ho raha hai dil-e-be-qarar mein
surma laga rahe hain wo mere ghubar ka
miT kar sama gaya hun gharaz chashm-e-yar mein
waiz ki bahki baaton mein aaun KHuda ki shan
main aur mai se tauba karun aur bahaar mein
'nashtar' wo din kahan hain wo raaten kidhar gain
qabu mein tha wo shoKH to dil iKHtiyar mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.