main kya kahun ki teri chashm-e-iltifat nahin
maiñ kyā kahūñ ki tirī chashm-e-iltifāt nahīñ
hayāt-e-shauq pe taarī ġham-e-hayāt nahīñ
jo dil pe guzrīñ mohabbat ke ḳhaas lamhoñ meñ
hudūd-e-sharh-o-bayyañ meñ vo vāqi.āt nahīñ
ġham-e-davām-e-mohabbat hai tishna-e-ma.anī
fanā ke ba.ad agar manzil-e-hayāt nahīñ
tire baġhair bhī ehsās-e-zīst hai lekin
taḌap meñ dard kī vo shorish-e-hayāt nahīñ
maqām-e-be-ḳhudī ishq ai ma.āz-allāh
maiñ us jagah huuñ jahāñ mujh ko hosh-e-zāt nahīñ
nigāh-e-dost tirī dil-navāziyāñ ma.alūm
ḳhatā muaaf maiñ ḳhvāhān-e-iltifāt nahīñ
jamāl tak hī na mahdūd rakh nazar 'mānī'
ki āshiqī kī yahī saarī kā.enāt nahīñ
main kya kahun ki teri chashm-e-iltifat nahin
hayat-e-shauq pe tari gham-e-hayat nahin
jo dil pe guzrin mohabbat ke KHas lamhon mein
hudud-e-sharh-o-bayyan mein wo waqiat nahin
gham-e-dawam-e-mohabbat hai tishna-e-mani
fana ke baad agar manzil-e-hayat nahin
tere baghair bhi ehsas-e-zist hai lekin
taDap mein dard ki wo shorish-e-hayat nahin
maqam-e-be-KHudi ishq ai maaz-allah
main us jagah hun jahan mujh ko hosh-e-zat nahin
nigah-e-dost teri dil-nawaziyan malum
KHata muaf main KHwahan-e-iltifat nahin
jamal tak hi na mahdud rakh nazar 'mani'
ki aashiqi ki yahi sari kaenat nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.