main kya karun yahin karna hai intizar mujhe
maiñ kyā karūñ yahīñ karnā hai intizār mujhe
isī jagah to milā thā vo pahlī baar mujhe
bisāt-e-zīst pe baazī palaT bhī saktī hai
tirā nasīb jo mil jaa.e musta'ār mujhe
usī ne mujh ko banā kar sipurd tere kiyā
zarā salīqe se ai zindagī guzār mujhe
binā lagām ke baiThā diyā hai mālik ne
tū ḳhvāh-maḳhvāh samajhtā hai shahsavār mujhe
ḳhatā mu'āf ho is kī bhī kyā zarūrat thī
barā.e naam jo baḳhshā hai iḳhtiyār mujhe
talāsh-e-rizq meñ ghar se nahīñ nikaltā agar
to karnā paḌtā mayassar pe inhisār mujhe
tū ai zamīr jahāñ mujh ko le ke baiThā hai
usī maqām pe rakhiyo tū barqarār mujhe
qasam na khā tirī fitrat se ḳhuub vāqif huuñ
hai terī vā'da-ḳhilāfī kā e'tibār mujhe
ye zindagī jo kahīñ chain se nahīñ guzrī
tamām 'umr rahī fikr-e-rozgār mujhe
maiñ in ḳhalāoñ meñ gumnām ho na jā.ūñ kahīñ
urūj-e-fan mirī dahlīz par utaar mujhe
main kya karun yahin karna hai intizar mujhe
isi jagah to mila tha wo pahli bar mujhe
bisat-e-zist pe bazi palaT bhi sakti hai
tera nasib jo mil jae musta'ar mujhe
usi ne mujh ko bana kar sipurd tere kiya
zara saliqe se ai zindagi guzar mujhe
bina lagam ke baiTha diya hai malik ne
tu KHwah-maKHwah samajhta hai shahsawar mujhe
KHata mu'af ho is ki bhi kya zarurat thi
barae nam jo baKHsha hai iKHtiyar mujhe
talash-e-rizq mein ghar se nahin nikalta agar
to karna paDta mayassar pe inhisar mujhe
tu ai zamir jahan mujh ko le ke baiTha hai
usi maqam pe rakhiyo tu barqarar mujhe
qasam na kha teri fitrat se KHub waqif hun
hai teri wa'da-KHilafi ka e'tibar mujhe
ye zindagi jo kahin chain se nahin guzri
tamam 'umr rahi fikr-e-rozgar mujhe
main in KHalaon mein gumnam ho na jaun kahin
uruj-e-fan meri dahliz par utar mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.