main kya misal dun koi teri misal ke baad
maiñ kyā misāl duuñ koī tirī misāl ke baad
nahīñ jamāl koī bhī tire jamāl ke baad
atā huī vo bulandī mire taḳhayyul ko
ḳhayāl hech hue sab tire ḳhayāl ke baad
ye tere naam kā sadqa hai sāhib-e-me.arāj
uruuj mujh ko milā hai jo har zavāl ke baad
batāyā huliya-mubārak jo umm-e-ma.abad ne
hasīñ lagā na koī aise ḳhadd-o-ḳhāl ke baad
na lauTā aap ke dar se koī tahī-dāman
na TuuTā maan kisī kā bayān-e-hāl ke baad
nahīñ hai ranj koī jo ḳhushī meñ Dhal na gayā
darūd maiñ ne paḌhā jab kisī malāl ke baad
kanīz-e-āl-e-mohammad agar maiñ kahlā.ūñ
visāl un se hī hogā mirā visāl ke baad
hai 'tāhira' ye tamannā dil-o-nigāh kī ab
madīne jā.ūñ hamesha har ek saal ke baad
main kya misal dun koi teri misal ke baad
nahin jamal koi bhi tere jamal ke baad
ata hui wo bulandi mere taKHayyul ko
KHayal hech hue sab tere KHayal ke baad
ye tere nam ka sadqa hai sahib-e-mearaj
uruj mujh ko mila hai jo har zawal ke baad
bataya huliya-mubarak jo umm-e-mabad ne
hasin laga na koi aise KHadd-o-KHal ke baad
na lauTa aap ke dar se koi tahi-daman
na TuTa man kisi ka bayan-e-haal ke baad
nahin hai ranj koi jo KHushi mein Dhal na gaya
darud main ne paDha jab kisi malal ke baad
kaniz-e-al-e-mohammad agar main kahlaun
visal un se hi hoga mera visal ke baad
hai 'tahira' ye tamanna dil-o-nigah ki ab
madine jaun hamesha har ek sal ke baad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.