main kya samjhun tere wade se kya izhaar hota hai
main kya samjhun tere wade se kya izhaar hota hai
Syed Masood Hasan Masood
MORE BYSyed Masood Hasan Masood
maiñ kyā samjhūñ tire va.ade se kyā iz.hār hotā hai
kabhī iqrār hotā hai kabhī inkār hotā hai
kisī se kab kisī ke dard kā iz.hār hotā hai
vahī kuchh ḳhuub kah saktā hai jo bīmār hotā hai
ilāhī ḳhair dohrī choT hai kis tarah uTThegī
dil-e-majrūh meñ paivast phir sūfār hotā hai
barahman jāntā hai mujh ko maiñ jaisā musalmāñ huuñ
mirī tasbīh meñ bhī rishta-e-zunnār hotā hai
zuleḳhā ko mile jazbāt ke iz.hār kā mauqa
abhī bāzār-e-ulfat misr kā bāzār hotā hai
ba-juz zāt-e-ḳhudā kis kā sahārā hai zamāne meñ
musībat meñ bhalā koī kisī kā yaar hotā hai
maza aa.egā rātoñ ko hameñ fariyād karne kā
hamārā mustaqil bistar pas-e-dīvār hotā hai
nigāhoñ meñ huā kartā hai bai.āna mohabbat kā
ye vo saudā nahīñ hai jo sar-e-bāzār hotā hai
nazākat chaar āñkheñ bazm meñ karne nahīñ detī
kisī kī ḳhātir-e-nāzuk pe ye bhī baar hotā hai
masīhā bhī utar aa.eñ to kyā ummīd jiine kī
kahīñ 'mas.ūd' achchhā ishq kā bīmār hotā hai
main kya samjhun tere wade se kya izhaar hota hai
kabhi iqrar hota hai kabhi inkar hota hai
kisi se kab kisi ke dard ka izhaar hota hai
wahi kuchh KHub kah sakta hai jo bimar hota hai
ilahi KHair dohri choT hai kis tarah uTThegi
dil-e-majruh mein paiwast phir sufar hota hai
barahman jaanta hai mujh ko main jaisa musalman hun
meri tasbih mein bhi rishta-e-zunnar hota hai
zuleKHa ko mile jazbaat ke izhaar ka mauqa
abhi bazar-e-ulfat misr ka bazar hota hai
ba-juz zat-e-KHuda kis ka sahaara hai zamane mein
musibat mein bhala koi kisi ka yar hota hai
maza aaega raaton ko hamein fariyaad karne ka
hamara mustaqil bistar pas-e-diwar hota hai
nigahon mein hua karta hai baiana mohabbat ka
ye wo sauda nahin hai jo sar-e-bazar hota hai
nazakat chaar aankhen bazm mein karne nahin deti
kisi ki KHatir-e-nazuk pe ye bhi bar hota hai
masiha bhi utar aaen to kya ummid jine ki
kahin 'masud' achchha ishq ka bimar hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.