main kyon kahun kisi se zarurat hi kyon na ho
maiñ kyoñ kahūñ kisī se zarūrat hī kyoñ na ho
dil us se be-niyāz hai 'usrat hī kyoñ na ho
mardum-gazīdgī kā asar hai ki aaj tak
Dartā huuñ maiñ fareb-e-mohabbat hī kyoñ na ho
kyā kyā ta'assubāt haiñ duniyā meñ jā-ba-jā
tashvīsh-e-dil fuzūñ hai ki hijrat hī kyoñ na ho
nākām-e-ārzū hai koī dil to kyā huā
taskīn-e-jāñ hai kuchh to vo hasrat hī kyoñ na ho
gūñjegī aur tesha-e-mazdūr kī sadā
har chand ahl-e-zar kī malāmat hī kyoñ na ho
mujh ko nahīñ qubūl ġhulāmī kā lafz bhī
ḳhidmat-guzār-e-vaqt kī ujrat hī kyoñ na ho
husn-e-ḳhayāl ke sivā bantī hai baat kab
husn-e-bayān meñ koī nudrat hī kyoñ na ho
bad-ḳhaslatī se baaz kab aatā hai bad-nihād
kam-zarf o be-zamīr pe lā'nat hī kyoñ na ho
ham bandagān-e-ḳhāk-nashīñ ḳhāksār haiñ
apne liye fuzūl hai satvat hī kyoñ na ho
fasl-e-gul-e-bahār kī ḳhvāhish to kījiye
sahrā-e-zindagī meñ sukūnat hī kyoñ na ho
'rāhī' ḳhulūs-e-dil ke sivā haath kuchh na aa.e
dil meñ darūd vird meñ aayat hī kyoñ na ho
main kyon kahun kisi se zarurat hi kyon na ho
dil us se be-niyaz hai 'usrat hi kyon na ho
mardum-gazidgi ka asar hai ki aaj tak
Darta hun main fareb-e-mohabbat hi kyon na ho
kya kya ta'assubaat hain duniya mein ja-ba-ja
tashwish-e-dil fuzun hai ki hijrat hi kyon na ho
nakaam-e-arzu hai koi dil to kya hua
taskin-e-jaan hai kuchh to wo hasrat hi kyon na ho
gunjegi aur tesha-e-mazdur ki sada
har chand ahl-e-zar ki malamat hi kyon na ho
mujh ko nahin qubul ghulami ka lafz bhi
KHidmat-guzar-e-waqt ki ujrat hi kyon na ho
husn-e-KHayal ke siwa banti hai baat kab
husn-e-bayan mein koi nudrat hi kyon na ho
bad-KHaslati se baz kab aata hai bad-nihad
kam-zarf o be-zamir pe la'nat hi kyon na ho
hum bandagan-e-KHak-nashin KHaksar hain
apne liye fuzul hai satwat hi kyon na ho
fasl-e-gul-e-bahaar ki KHwahish to kijiye
sahra-e-zindagi mein sukunat hi kyon na ho
'rahi' KHulus-e-dil ke siwa hath kuchh na aae
dil mein darud wird mein aayat hi kyon na ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.