main kyun kahun ki kisi chehragi se ishq karo
maiñ kyuuñ kahūñ ki kisī chehragī se 'ishq karo
jo baat kā ho dhanī bas usī se 'ishq karo
jahālatoñ ke añdhere se toḌ do rishta
‘ulūm-o-fan kī faqat raushnī se 'ishq karo
kisī ġharīb kī ġhurbat pe mat hañso lekin
rulā de zulm ko jo us hañsī se 'ishq karo
nihāñ ho jis meñ ai logo habīb kī sīrat
to tum pe farz hai us dostī se 'ishq karo
jo 'ishq ‘abd se mā'būd tak tumheñ le jaa.e
qasam zuleḳhā kī us 'āshiqī se 'ishq karo
vo jis se aatī ho 'salmān' bū-e-haq har dam
tumheñ bhī chāhiye bas us kalī se 'ishq karo
main kyun kahun ki kisi chehragi se 'ishq karo
jo baat ka ho dhani bas usi se 'ishq karo
jahaalaton ke andhere se toD do rishta
‘ulum-o-fan ki faqat raushni se 'ishq karo
kisi gharib ki ghurbat pe mat hanso lekin
rula de zulm ko jo us hansi se 'ishq karo
nihan ho jis mein ai logo habib ki sirat
to tum pe farz hai us dosti se 'ishq karo
jo 'ishq ‘abd se ma'bud tak tumhein le jae
qasam zuleKHa ki us 'ashiqi se 'ishq karo
wo jis se aati ho 'salman' bu-e-haq har dam
tumhein bhi chahiye bas us kali se 'ishq karo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.