main mauj mauj hun meri bisat dariya hai
maiñ mauj mauj huuñ merī bisāt dariyā hai
mirā qabīla samundar hai zaat dariyā hai
na vahm hai na gumāñ hai na ḳhvāb hai na ḳhayāl
maiñ chal rahā huuñ mire saath saath dariyā hai
koī to hogā sabab tishna-lab huuñ maiñ varna
barahna teġh hai aur chand haath dariyā hai
banā le aur bhī kāġhaz kī kashtiyāñ beTī
abhī to hoñge ka.ī hādsāt dariyā hai
ḳhudā ḳhudā na pukāregā nā-ḳhudā kab tak
bhañvar hai taak meñ kīna-sifāt dariyā hai
jo shaḳhs Duub rahā hai use bhī ġhaur se sun
guhar hai us kā har-ik lafz baat dariyā hai
na bāñdh raḳht-e-safar pahle soch le 'ḳhusrav'
shikasta naav añdherī hai raat dariyā hai
main mauj mauj hun meri bisat dariya hai
mera qabila samundar hai zat dariya hai
na wahm hai na guman hai na KHwab hai na KHayal
main chal raha hun mere sath sath dariya hai
koi to hoga sabab tishna-lab hun main warna
barahna tegh hai aur chand hath dariya hai
bana le aur bhi kaghaz ki kashtiyan beTi
abhi to honge kai hadsat dariya hai
KHuda KHuda na pukarega na-KHuda kab tak
bhanwar hai tak mein kina-sifat dariya hai
jo shaKHs Dub raha hai use bhi ghaur se sun
guhar hai us ka har-ik lafz baat dariya hai
na bandh raKHt-e-safar pahle soch le 'KHusraw'
shikasta naw andheri hai raat dariya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.