main musafir-e-rah-e-ishq hun na sahar hai koi na sham hai
main musafir-e-rah-e-ishq hun na sahar hai koi na sham hai
Payam Fatehpuri
MORE BYPayam Fatehpuri
maiñ musāfir-e-rah-e-ishq huuñ na sahar hai koī na shaam hai
ye safar azal se abad talak na qiyām hai na maqām hai
maiñ tamām ishq-o-niyāz huuñ vo taġhāful-o-hama-be-ruḳhī
use apne kaam se kaam hai mujhe apne kaam se kaam hai
tirī rahguzar pe mirī nazar mujhe sub.h-o-shām kī kyā ḳhabar
na tire ḳhayāl meñ sub.h hai na tire ḳhayāl meñ shaam hai
vo chaman jahāñ pe hoñ zulf-o-ruḳh vo vatan jahāñ ho koī sanam
yahīñ ahl-e-dil kā maqām hai yahīñ ahl-e-dil kā qiyām hai
tujhe gardishoñ hī se kaam hai kabhī ai falak ye batā mujhe
koī us ke vasl kī sub.h hai koī us ke vasl kī shaam hai
hai ajab fazā mire des kī koī shaiḳh hai koī barahman
mujhe aadmī kī talāsh hai magar aadmī abhī ḳhaam hai
vo jo chup hai shahr hai dasht sā maiñ 'payām' kaise jiyūñ yahāñ
na ab us kā koī payām hai na duā hai aur na salām hai
main musafir-e-rah-e-ishq hun na sahar hai koi na sham hai
ye safar azal se abad talak na qiyam hai na maqam hai
main tamam ishq-o-niyaz hun wo taghaful-o-hama-be-ruKHi
use apne kaam se kaam hai mujhe apne kaam se kaam hai
teri rahguzar pe meri nazar mujhe subh-o-sham ki kya KHabar
na tere KHayal mein subh hai na tere KHayal mein sham hai
wo chaman jahan pe hon zulf-o-ruKH wo watan jahan ho koi sanam
yahin ahl-e-dil ka maqam hai yahin ahl-e-dil ka qiyam hai
tujhe gardishon hi se kaam hai kabhi ai falak ye bata mujhe
koi us ke wasl ki subh hai koi us ke wasl ki sham hai
hai ajab faza mere des ki koi shaiKH hai koi barahman
mujhe aadmi ki talash hai magar aadmi abhi KHam hai
wo jo chup hai shahr hai dasht sa main 'payam' kaise jiyun yahan
na ab us ka koi payam hai na dua hai aur na salam hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.