main na ek saat raha aaram mein
maiñ na ik sā'at rahā ārām meñ
gar qafas se chhūT aayā daam meñ
sab pe baalā hī rahī bolī mirī
maiñ jo pahuñchā husn ke nīlām meñ
til tah-e-gesū nahīñ sayyād ne
aaj daana rakh diyā hai daam meñ
hazrat-e-dil ne kiye jurm-o-ḳhatā
be-sabab ham aa ga.e ilzām meñ
āzim-e-mulk-e-adam hai ai masīh
terā bīmār ab to sub.h-o-shām meñ
zulf chhū kar ham ne lī sar par balā
aa.e nāhaq kashmakash ke daam meñ
chashm-o-lab ke bose meñ jo hai maza
vo kahāñ hai pista-o-bādām meñ
un ke ghar jaatā huuñ kah dete haiñ ye
koī kah do vo to haiñ ārām meñ
chāTte haiñ hoñTh sab 'āshiq tire
hai 'ajab lazzat tire dushnām meñ
zulf-o-ruḳh kā hai tasavvur rāt-din
jab se ham dāḳhil hue is laam meñ
murġh-e-bismil haiñ jo ye sayyād aaj
tū ne kyā 'ḳhanjar' rakhā hai daam meñ
main na ek sa'at raha aaram mein
gar qafas se chhuT aaya dam mein
sab pe baala hi rahi boli meri
main jo pahuncha husn ke nilam mein
til tah-e-gesu nahin sayyaad ne
aaj dana rakh diya hai dam mein
hazrat-e-dil ne kiye jurm-o-KHata
be-sabab hum aa gae ilzam mein
aazim-e-mulk-e-adam hai ai masih
tera bimar ab to subh-o-sham mein
zulf chhu kar hum ne li sar par bala
aae nahaq kashmakash ke dam mein
chashm-o-lab ke bose mein jo hai maza
wo kahan hai pista-o-baadam mein
un ke ghar jata hun kah dete hain ye
koi kah do wo to hain aaram mein
chaTte hain honTh sab 'ashiq tere
hai 'ajab lazzat tere dushnam mein
zulf-o-ruKH ka hai tasawwur raat-din
jab se hum daKHil hue is lam mein
murgh-e-bismil hain jo ye sayyaad aaj
tu ne kya 'KHanjar' rakha hai dam mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.