main na kahta tha mere bhai nahin ho sakti
maiñ na kahtā thā mire bhaa.ī nahīñ ho saktī
aag paanī meñ shanāsā.ī nahīñ ho saktī
titliyāñ phuul parinde use lene aa.e
is se baḌh kar to pazīrā.ī nahīñ ho saktī
mere chehre pe ye māñgī huī āñkheñ na lagā
in meñ jo hai mirī bīnā.ī nahīñ ho saktī
ik kuaañ hai so hai ma.alūm mire bhā.iyoñ ko
rāste meñ to koī khaa.ī nahīñ ho saktī
panting jān-e-musavvir ke bane hāthoñ kī
dar-o-dīvār pe ye kaa.ī nahīñ ho saktī
jag-hañsā.ī mirī karvā dī zamāne bhar meñ
tum to kahte the ki rusvā.ī nahīñ ho saktī
aa gayā dasta abābīloñ kā ahmad-'irfān'
ab hameñ jañg meñ paspā.ī nahīñ ho saktī
main na kahta tha mere bhai nahin ho sakti
aag pani mein shanasai nahin ho sakti
titliyan phul parinde use lene aae
is se baDh kar to pazirai nahin ho sakti
mere chehre pe ye mangi hui aankhen na laga
in mein jo hai meri binai nahin ho sakti
ek kuan hai so hai malum mere bhaiyon ko
raste mein to koi khai nahin ho sakti
panting jaan-e-musawwir ke bane hathon ki
dar-o-diwar pe ye kai nahin ho sakti
jag-hansai meri karwa di zamane bhar mein
tum to kahte the ki ruswai nahin ho sakti
aa gaya dasta ababilon ka ahmad-'irfan'
ab hamein jang mein paspai nahin ho sakti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.