main na minnat-kash-e-angur hua KHub hua
maiñ na minnat-kash-e-añgūr huā ḳhuub huā
chashm-e-maḳhmūr se maḳhmūr huā ḳhuub huā
sho.ala-e-āh mirā nuur huā ḳhuub huā
un kā gesū shab-e-dījūr huā ḳhuub huā
nik.hat-e-zulf se masrūr huā ḳhuub huā
saañp ke zahr se maḳhmūr huā ḳhuub huā
sar jo qadmoñ pe rakhā haath se sarkā na diyā
ijz par mere vo maġhrūr huā ḳhuub huā
aa.e pariyoñ ke pare vasf-e-kamar khulvāne
misl-e-anqā ke maiñ mash.hūr huā ḳhuub huā
is jahāñ ke nazar aate haiñ tamāshe mujh ko
dūrbīñ dīda-e-nāsūr huā ḳhuub huā
ab anal-haq ke kahe par nahīñ maare jaate
is zamāne meñ jo mansūr huā ḳhuub huā
phañs gayā hai kisī gesū meñ dil-e-ḳhāna-ḳharāb
dushman-e-jānī se maiñ duur huā ḳhuub huā
mere darmāñ haiñ badal mardum-e-bādām-farosh
chashm-e-bīmār se ranjūr huā ḳhuub huā
ashk se chashm ke ham zaḳhm-e-jigar dhote haiñ
ḳhūn-e-dil bāda-e-a.agūr huā ḳhuub huā
ham ne duniyā hī meñ jannat kā mazā luuT liyā
mehrbāñ ham pe jo vo huur huā ḳhuub huā
be-hijābāna gale lagte haiñ daur aur chale
chashm-e-bad-dūr vo maḳhmūr huā ḳhuub huā
zānū-e-zohra-jabīnāñ pe dharā rahtā hai
sar mirā kāsā-e-tanbūr huā ḳhuub huā
va.ada shab kā thā mujhe din ko vo dekhā to kahā
nām-e-zañgī ajī kāfūr huā ḳhuub huā
kyā hī ḳhush-go hai 'nasīm' ahl-e-suḳhan kahte haiñ
bāġh-e-hind aap se mysore huā ḳhuub huā
main na minnat-kash-e-angur hua KHub hua
chashm-e-maKHmur se maKHmur hua KHub hua
shoala-e-ah mera nur hua KHub hua
un ka gesu shab-e-dijur hua KHub hua
nikhat-e-zulf se masrur hua KHub hua
sanp ke zahr se maKHmur hua KHub hua
sar jo qadmon pe rakha hath se sarka na diya
ijz par mere wo maghrur hua KHub hua
aae pariyon ke pare wasf-e-kamar khulwane
misl-e-anqa ke main mashhur hua KHub hua
is jahan ke nazar aate hain tamashe mujh ko
durbin dida-e-nasur hua KHub hua
ab anal-haq ke kahe par nahin mare jate
is zamane mein jo mansur hua KHub hua
phans gaya hai kisi gesu mein dil-e-KHana-KHarab
dushman-e-jaani se main dur hua KHub hua
mere darman hain badal mardum-e-baadam-farosh
chashm-e-bimar se ranjur hua KHub hua
ashk se chashm ke hum zaKHm-e-jigar dhote hain
KHun-e-dil baada-e-agur hua KHub hua
hum ne duniya hi mein jannat ka maza luT liya
mehrban hum pe jo wo hur hua KHub hua
be-hijabana gale lagte hain daur aur chale
chashm-e-bad-dur wo maKHmur hua KHub hua
zanu-e-zohra-jabinan pe dhara rahta hai
sar mera kasa-e-tanbur hua KHub hua
wada shab ka tha mujhe din ko wo dekha to kaha
nam-e-zangi aji kafur hua KHub hua
kya hi KHush-go hai 'nasim' ahl-e-suKHan kahte hain
bagh-e-hind aap se mysore hua KHub hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.