main na tarsunga kabhi saqi jo tarsane lage
maiñ na tarsūñgā kabhī saaqī jo tarsāne lage
haath ke chhāle bhī mujh ko ab to paimāne lage
tark piinā mai kiyā auroñ ke ġham khāne lage
kaif-baḳhsh ab haath ke chhāle ke paimāne lage
kal tar-o-tāza the gulshan meñ jo chehroñ ke gulāb
dhuup meñ fikroñ kī aaj aa.e to murjhāne lage
dil kā chhālā zaḳhm kī sūrat na kar le iḳhtiyār
haal par ab mere apne rahm farmāne lage
kal kā sūraj amn kā paiġhām laa.e yā ḳhudā
shaam aa.ī phir gharoñ meñ log ghabrāne lage
aaj ye mahfil meñ kis ne dī ulaT ruḳh se naqāb
raushnī baḌhne lagī aur diip sharmāne lage
qaum phir pā.egī 'shādāñ' ḳhvāb-e-ġhaflat se najāt
rafta rafta hosh meñ dīvāne ab aane lage
main na tarsunga kabhi saqi jo tarsane lage
hath ke chhaale bhi mujh ko ab to paimane lage
tark pina mai kiya auron ke gham khane lage
kaif-baKHsh ab hath ke chhaale ke paimane lage
kal tar-o-taza the gulshan mein jo chehron ke gulab
dhup mein fikron ki aaj aae to murjhane lage
dil ka chhaala zaKHm ki surat na kar le iKHtiyar
haal par ab mere apne rahm farmane lage
kal ka suraj amn ka paigham lae ya KHuda
sham aai phir gharon mein log ghabrane lage
aaj ye mahfil mein kis ne di ulaT ruKH se naqab
raushni baDhne lagi aur dip sharmane lage
qaum phir paegi 'shadan' KHwab-e-ghaflat se najat
rafta rafta hosh mein diwane ab aane lage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.