main nala-kash jo apne watan se nikal gaya
maiñ nāla-kash jo apne vatan se nikal gayā
ik andalīb thā ki chaman se nikal gayā
hotī nahīñ nabī kī bhī qadr apne shahr meñ
allāh kā habīb vatan se nikal gayā
tanhā.ī bahr-e-āshiq-e-sādiq zarūr hai
majnūñ isī liye to vatan se nikal gayā
naafā se bāhar aa ke huī qadr mushk kī
achchhā rahā jo apne vatan se nikal gayā
misl-e-guhar hai aaj salātīñ pe us kī jā
jo bā-kamāl apne vatan se nikal gayā
yaad aaya sarv sā jo vo qad phuul sā ezaar
maiñ be-qarār ho ke chaman se nikal gayā
jo sher ham ne vasf-e-qad-e-yār meñ likhā
har misra apnā sarv-e-chaman se nikal gayā
us gul ko shauq phūloñ ke gahne kā jab huā
har gul usī havā meñ chaman se nikal gayā
'akbar' naqāb aaj uThā rū-e-yār se
shukr-e-ḳhudā ki chāñd gahan se nikal gayā
main nala-kash jo apne watan se nikal gaya
ek andalib tha ki chaman se nikal gaya
hoti nahin nabi ki bhi qadr apne shahr mein
allah ka habib watan se nikal gaya
tanhai bahr-e-ashiq-e-sadiq zarur hai
majnun isi liye to watan se nikal gaya
nafa se bahar aa ke hui qadr mushk ki
achchha raha jo apne watan se nikal gaya
misl-e-guhar hai aaj salatin pe us ki ja
jo ba-kamal apne watan se nikal gaya
yaad aaya sarw sa jo wo qad phul sa ezar
main be-qarar ho ke chaman se nikal gaya
jo sher hum ne wasf-e-qad-e-yar mein likha
har misra apna sarw-e-chaman se nikal gaya
us gul ko shauq phulon ke gahne ka jab hua
har gul usi hawa mein chaman se nikal gaya
'akbar' naqab aaj uTha ru-e-yar se
shukr-e-KHuda ki chand gahan se nikal gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.