Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

main nalon ka apne asar chahta hun

Syed Manzar Hasan Desnavi

main nalon ka apne asar chahta hun

Syed Manzar Hasan Desnavi

MORE BYSyed Manzar Hasan Desnavi

    maiñ nāloñ apne asar chāhtā huuñ

    shab-e-hijr ab sahar chāhtā huuñ

    ye lutf-o-karam aap ke ḳhuub lekin

    mohabbat ba-rang-e-digar chāhtā huuñ

    maiñ kyā chāhtā huuñ ye kyā pūchhte ho

    maiñ duniyā meñ zer-o-zabar chāhtā huuñ

    junūn-e-mohabbat ye intihā hai

    ki tere dīvār-o-dar chāhtā huuñ

    ye bāteñ tumhārī haiñ pur-lutf nāseh

    ye qissa magar muḳhtasar chāhtā huuñ

    bigāḌā hai 'manzar' ye zāhid ne kaisā

    farishta ba-shakl-e-bashar chāhtā huuñ

    main nalon ka apne asar chahta hun

    shab-e-hijr ki ab sahar chahta hun

    ye lutf-o-karam aap ke KHub lekin

    mohabbat ba-rang-e-digar chahta hun

    main kya chahta hun ye kya puchhte ho

    main duniya mein zer-o-zabar chahta hun

    junun-e-mohabbat ki ye intiha hai

    ki tere hi diwar-o-dar chahta hun

    ye baaten tumhaari hain pur-lutf naseh

    ye qissa magar muKHtasar chahta hun

    bigaDa hai 'manzar' ye zahid ne kaisa

    farishta ba-shakl-e-bashar chahta hun

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now