main nahin kahta har ek chiz purani le ja
maiñ nahīñ kahtā har ik chiiz purānī le jā
mujh ko jiine nahīñ detī jo nishānī le jā
ek ban-bās to jiinā hai tujhe bhī ai dost
apne hamrāh koī rām-kahānī le jā
jin se ummīd hai sahrā meñ ghanī chhāñv kī
un daraḳhtoñ ke liye Dher sā paanī le jā
sach ko kāġhaz pe utarne meñ ho ḳhatra shāyad
merī sochī huī har baat zabānī le jā
vo jo baiThe haiñ haqīqat kā tasavvur le kar
aise logoñ ke liye koī kahānī le jā
main nahin kahta har ek chiz purani le ja
mujh ko jine nahin deti jo nishani le ja
ek ban-bas to jina hai tujhe bhi ai dost
apne hamrah koi ram-kahani le ja
jin se ummid hai sahra mein ghani chhanw ki
un daraKHton ke liye Dher sa pani le ja
sach ko kaghaz pe utarne mein ho KHatra shayad
meri sochi hui har baat zabani le ja
wo jo baiThe hain haqiqat ka tasawwur le kar
aise logon ke liye koi kahani le ja
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.