maine aaghaz mein anjam ki baaten ki hain
maiñ ne āġhāz meñ anjām kī bāteñ kī haiñ
gar samajh lo to baḌe kaam kī bāteñ kī haiñ
vahī jazba jo mohabbat kā amiiñ hotā hai
haañ usī jazba-e-be-nām kī bāteñ kī haiñ
ham sunā baiThe haiñ afsāna-e-kaunain unheñ
aur kahne ko faqat naam kī bāteñ kī haiñ
chand mauhūm umīdoñ kā sahārā le kar
aaj un se dil-e-nākām kī bāteñ kī haiñ
kaañp uThī hai mirī duniyā-e-mohabbat ai dost
dil se jab ishq ke anjām kī bāteñ kī haiñ
maiñ guzar aaya har ik kaifiyat-e-mai se 'zakī'
vo samajhte haiñ ki bas jaam kī bāteñ kī haiñ
main ne aaghaz mein anjam ki baaten ki hain
gar samajh lo to baDe kaam ki baaten ki hain
wahi jazba jo mohabbat ka amin hota hai
han usi jazba-e-be-nam ki baaten ki hain
hum suna baiThe hain afsana-e-kaunain unhen
aur kahne ko faqat nam ki baaten ki hain
chand mauhum umidon ka sahaara le kar
aaj un se dil-e-nakaam ki baaten ki hain
kanp uThi hai meri duniya-e-mohabbat ai dost
dil se jab ishq ke anjam ki baaten ki hain
main guzar aaya har ek kaifiyat-e-mai se 'zaki'
wo samajhte hain ki bas jam ki baaten ki hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.