maine aaghosh-e-tasawwur mein tumhein kya dekha
maiñ ne āġhosh-e-tasavvur meñ tumheñ kyā dekhā
jugnū chamkā to maiñ samjhā yad-e-baizā dekhā
munkashif jab sabab-e-pursish-e-a.amāl huā
hashr ko jalva-gah-e-va.ada-e-fardā dekhā
maiñ ne har māh-e-do-hafta ko ba-vaqt-e-pīrī
jalva-e-sub.h meñ khoyā huā taarā dekhā
le kar añgḌā.ī uThī jab nigah-e-husn-e-talab
zarre zarre meñ unheñ anjuman-ārā dekhā
aaj bhī baiThe hue haiñ vo pas-e-parda-e-hashr
dekhā ai muntazir-e-va.ada-e-fardā dekhā
mere naale adab-āgāh-e-mohabbat na sahī
aap ne zaḳhm-e-jigar kyoñ ba-taqāzā dekhā
jab huā anjuman-e-gul meñ varūd-e-shabnam
murtasam dil pe tirā naqsh-e-kaf-e-pā dekhā
nabz par haath nazar sū-e-falak muhr-ba-lab
chārāgar ḳhair to hai kuchh to batā kyā dekhā
'faiz' kyā kyā dil amīñ-gāh-e-tasavvur na huā
maiñ ne jab pahlū-e-mahtāb meñ taarā dekhā
main ne aaghosh-e-tasawwur mein tumhein kya dekha
jugnu chamka to main samjha yad-e-baiza dekha
munkashif jab sabab-e-pursish-e-amal hua
hashr ko jalwa-gah-e-wada-e-farda dekha
main ne har mah-e-do-hafta ko ba-waqt-e-piri
jalwa-e-subh mein khoya hua tara dekha
le kar angDai uThi jab nigah-e-husn-e-talab
zarre zarre mein unhen anjuman-ara dekha
aaj bhi baiThe hue hain wo pas-e-parda-e-hashr
dekha ai muntazir-e-wada-e-farda dekha
mere nale adab-agah-e-mohabbat na sahi
aap ne zaKHm-e-jigar kyon ba-taqaza dekha
jab hua anjuman-e-gul mein warud-e-shabnam
murtasam dil pe tera naqsh-e-kaf-e-pa dekha
nabz par hath nazar su-e-falak muhr-ba-lab
chaaragar KHair to hai kuchh to bata kya dekha
'faiz' kya kya dil amin-gah-e-tasawwur na hua
main ne jab pahlu-e-mahtab mein tara dekha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.