maine aaj ek tamasha dekha
maiñ ne aaj ek tamāshā dekhā
sāġhar-e-chashm meñ dariyā dekhā
raat ik ḳhvāb nirālā dekhā
dosh par apnā janāza dekhā
pūchhiye kuchh nahīñ kyā kyā dekhā
vaqt ne jo bhī dikhāyā dekhā
ḳhuun patthar se bhī ristā dekhā
zindagī terā sarāpā dekhā
qaid thiiñ dard kī sadiyāñ jis meñ
merī qismat ne vo lamha dekhā
tishnagī hī jaise dariyā se milī
us ne qatre meñ bhī dariyā dekhā
hādse vaqt ke haiñ jis pe raqam
kyā kisī ne bhī vo chehra dekhā
umr-bhar dhuup meñ yūñhī taḌpo
tum ne kyoñ ḳhvāb sahar kā dekhā
so gayā vaqt bhī mahtāb ke saath
raat 'shiblī' ko bhī tanhā dekhā
main ne aaj ek tamasha dekha
saghar-e-chashm mein dariya dekha
raat ek KHwab nirala dekha
dosh par apna janaza dekha
puchhiye kuchh nahin kya kya dekha
waqt ne jo bhi dikhaya dekha
KHun patthar se bhi rista dekha
zindagi tera sarapa dekha
qaid thin dard ki sadiyan jis mein
meri qismat ne wo lamha dekha
tishnagi hi jaise dariya se mili
us ne qatre mein bhi dariya dekha
hadse waqt ke hain jis pe raqam
kya kisi ne bhi wo chehra dekha
umr-bhar dhup mein yunhi taDpo
tum ne kyon KHwab sahar ka dekha
so gaya waqt bhi mahtab ke sath
raat 'shibli' ko bhi tanha dekha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.