maine ab samjha hai raaz-e-kaenat
maiñ ne ab samjhā hai rāz-e-kā.enāt
kar rahā huuñ ġham se ta.amīr-e-hayāt
kis tavaqqo par banā.ūñ āshiyāñ
zindagī hai aur barq-e-hādisāt
manzil-e-ġham is qadar āsāñ na thī
rah ga.e muñh dekh kar sabr-o-sabāt
jo mohabbat se rahā nā-āshnā
ho ke rah jaatā hai nang-e-kā.enāt
chhā rahī haiñ har taraf hairāniyāñ
aql hai begāna-e-rāz-e-hayāt
mere ruḳh par to na the ġham ke nishāñ
tum samajh lete ho shāyad dil kī baat
'hosh' kyā kiije hadīs-e-ġham bayāñ
kaun kah saktā hai dil kī vārdāt
main ne ab samjha hai raaz-e-kaenat
kar raha hun gham se tamir-e-hayat
kis tawaqqo par banaun aashiyan
zindagi hai aur barq-e-hadisat
manzil-e-gham is qadar aasan na thi
rah gae munh dekh kar sabr-o-sabaat
jo mohabbat se raha na-ashna
ho ke rah jata hai nang-e-kaenat
chha rahi hain har taraf hairaniyan
aql hai begana-e-raaz-e-hayat
mere ruKH par to na the gham ke nishan
tum samajh lete ho shayad dil ki baat
'hosh' kya kije hadis-e-gham bayan
kaun kah sakta hai dil ki wardat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.