maine apni har muskan ko de Dala ban-bas
maiñ ne apnī har muskān ko de Daalā ban-bās
hoñToñ kī is avadh-purī ke koī na aa.e paas
apnī anā kī tārāmatī ko kar Daalā nīlām
vaqt ke vishvāmitr ko ab to ho jaa.e ehsās
aañkh pe goggle haath meñ degrē ḳhvāboñ ke bāzār
sone kā mrig dekh dekh kar viddyā huī udaas
shaktī aur yudhishTir meñ ab kuchh bhī nahīñ hai farq
donoñ nyaay ke pālan-hāre donoñ dharm ke daas
type-writer gung-mahal hai shabdoñ kā de daan
kāġhaz akshar 'ashk'-o-tabassum sabhī rachāeñ daas
main ne apni har muskan ko de Dala ban-bas
honTon ki is awadh-puri ke koi na aae pas
apni ana ki taramati ko kar Dala nilam
waqt ke wishwamitr ko ab to ho jae ehsas
aankh pe goggle hath mein degree KHwabon ke bazar
sone ka mrig dekh dekh kar widdya hui udas
shakti aur yudhishTir mein ab kuchh bhi nahin hai farq
donon nyay ke palan-haare donon dharm ke das
type-writer gung-mahal hai shabdon ka de dan
kaghaz akshar 'ashk'-o-tabassum sabhi rachaen das
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.