maine apni maut pe ek nauha likkha hai
maiñ ne apnī maut pe ik nauha likkhā hai
tum ko sunātā huuñ dekho kaisā lagtā hai
jism ko kar Daalā hai ḳhvāhish kā harkāra
chehre par masnūī vaqār sajā rakkhā hai
suunī kar Daalī hai bastī ḳhvāb-nagar kī
kal tak jo dariyā bahtā thā ḳhushk huā hai
hoñToñ se zanjīr-e-ḳhamoshī bāñdh rakhī hai
tāq-e-umīd pe dil kā charāġh bujhā rakkhā hai
niiñd se bojhal palkoñ par andesha-e-miTTī
kashtī-e-jāñ ke Dūbne kā lamha aayā hai
main ne apni maut pe ek nauha likkha hai
tum ko sunata hun dekho kaisa lagta hai
jism ko kar Dala hai KHwahish ka harkara
chehre par masnui waqar saja rakkha hai
suni kar Dali hai basti KHwab-nagar ki
kal tak jo dariya bahta tha KHushk hua hai
honTon se zanjir-e-KHamoshi bandh rakhi hai
taq-e-umid pe dil ka charagh bujha rakkha hai
nind se bojhal palkon par andesha-e-miTTi
kashti-e-jaan ke Dubne ka lamha aaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.