maine bhi tohmat-e-takfir uThai hui hai
maiñ ne bhī tohmat-e-takfīr uThā.ī huī hai
ek nekī mire hisse meñ bhī aa.ī huī hai
mire kāñdhoñ pe dharā hai koī haarā huā ishq
yahī gaThḌī hai jo muddat se uThā.ī huī hai
tum to aa.e ho abhī dasht-e-mohabbat kī taraf
maiñ ne ye ḳhaak bahut pahle uḌaa.ī huī hai
TuuT jā.ūñgā agar mujh ko banāyā bhī gayā
koī shai aisī mirī jaañ meñ samā.ī huī hai
sard-mehrī ke ilāqe meñ huuñ masrūf-e-duā
zinda rahne ke liye aag jalā.ī huī hai
qissa-go ab tirī chaupāl se maiñ jaatā huuñ
raat bhī bhiig chukī niiñd bhī aa.ī huī hai
main ne bhi tohmat-e-takfir uThai hui hai
ek neki mere hisse mein bhi aai hui hai
mere kandhon pe dhara hai koi haara hua ishq
yahi gaThDi hai jo muddat se uThai hui hai
tum to aae ho abhi dasht-e-mohabbat ki taraf
main ne ye KHak bahut pahle uDai hui hai
TuT jaunga agar mujh ko banaya bhi gaya
koi shai aisi meri jaan mein samai hui hai
sard-mehri ke ilaqe mein hun masruf-e-dua
zinda rahne ke liye aag jalai hui hai
qissa-go ab teri chaupal se main jata hun
raat bhi bhig chuki nind bhi aai hui hai
- Book : Ghazal Calendar-2015 (Pg. 18.10.2015)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.