maine chaha hi nahin mujhko safai do tum
maiñ ne chāhā hī nahīñ mujh ko safā.ī do tum
apnī yādoñ se magar mujh ko rihā.ī do tum
merī bas itnī sī ḳhvāhish ko tavajjoh de do
roz jagte hī mujhe sub.h dikhā.ī do tum
ik bharam rakh lo yahī kah do mileñge phir se
aas hī baaqī rahe aise vidā'ī do tum
ab mirā man hī nahīñ aur ġhazal kahne kā
tum ho guzrā huā kal ab na sunā.ī do tum
pyaar ke rog kī bas pyaar davā hai to phir
lauT kar aao mujhe merī davā.ī do tum
main ne chaha hi nahin mujh ko safai do tum
apni yaadon se magar mujh ko rihai do tum
meri bas itni si KHwahish ko tawajjoh de do
roz jagte hi mujhe subh dikhai do tum
ek bharam rakh lo yahi kah do milenge phir se
aas hi baqi rahe aise wida'i do tum
ab mera man hi nahin aur ghazal kahne ka
tum ho guzra hua kal ab na sunai do tum
pyar ke rog ki bas pyar dawa hai to phir
lauT kar aao mujhe meri dawai do tum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.