maine chup ke andhere mein KHud ko rakha ek faza ke liye
maiñ ne chup ke añdhere meñ ḳhud ko rakhā ik fazā ke liye
hujra-e-zāt meñ raushnī laane vaalī du'ā ke liye
be-sadā sā.atoñ meñ samā'at kī raftār rukne ko thī
ek aahaT ne mujh se kahā jaag jaao ḳhudā ke liye
ek dushman-nazar merī narmī pe īmān laane ko hai
maiñ 'ajab intihā par khaḌā huuñ kisī ibtidā ke liye
koī ḳhush-qāmatī aa.ine ke muqābil sañbhaltī huī
koī tadbīr-e-nazzāra simTī huī ik adā ke liye
ek hairat se lipTī huī ik subuk-doshī-e-pairahan
muztarib hai achānak bichhaḌ jaane vaalī hayā ke liye
ik safar hausle aur ḳhvāhish kī tasdīq kartā huā
ek raste pe mā'dūm hote hue naqsh-e-pā ke liye
merī āñkheñ aur in meñ chamakte hue mustaqil faisle
jagmagāte raheñge yūñhī aane vaalī havā ke liye
is se pahle ki manzil añdheroñ meñ tabdīl hone lage
qāfile se kaho rahnumā DhūñD le rahnumā ke liye
vus.at-e-āsmāñ sub.h-e-parvāz kā koī muzhda sunā
shāḳh-e-hasrat pe baiThe hue tā.ir-e-be-navā ke liye
ek bāġh-e-ta.alluq kisī chashm-e-hairāñ meñ ābād hai
ai ḳhudā is nazāre ko sarsabz rakhnā sadā ke liye
'azm' is arsa-e-nā-murādī se ghabrā ke ye mat kaho
aisī be-rañg sī zindagī kis liye kis jazā ke liye
main ne chup ke andhere mein KHud ko rakha ek faza ke liye
hujra-e-zat mein raushni lane wali du'a ke liye
be-sada saaton mein sama'at ki raftar rukne ko thi
ek aahaT ne mujh se kaha jag jao KHuda ke liye
ek dushman-nazar meri narmi pe iman lane ko hai
main 'ajab intiha par khaDa hun kisi ibtida ke liye
koi KHush-qamati aaine ke muqabil sanbhalti hui
koi tadbir-e-nazzara simTi hui ek ada ke liye
ek hairat se lipTi hui ek subuk-doshi-e-pairahan
muztarib hai achanak bichhaD jaane wali haya ke liye
ek safar hausle aur KHwahish ki tasdiq karta hua
ek raste pe ma'dum hote hue naqsh-e-pa ke liye
meri aankhen aur in mein chamakte hue mustaqil faisle
jagmagate rahenge yunhi aane wali hawa ke liye
is se pahle ki manzil andheron mein tabdil hone lage
qafile se kaho rahnuma DhunD le rahnuma ke liye
wusat-e-asman subh-e-parwaz ka koi muzhda suna
shaKH-e-hasrat pe baiThe hue tair-e-be-nawa ke liye
ek bagh-e-talluq kisi chashm-e-hairan mein aabaad hai
ai KHuda is nazare ko sarsabz rakhna sada ke liye
'azm' is arsa-e-na-muradi se ghabra ke ye mat kaho
aisi be-rang si zindagi kis liye kis jaza ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.