maine dekha hai kaisa ye sapna naya raat ke is pahar
maine dekha hai kaisa ye sapna naya raat ke is pahar
Sabihuddin Shoaiby
MORE BYSabihuddin Shoaiby
maiñ ne dekhā hai kaisā ye sapnā nayā raat ke is pahar
mujh se bichhḌā huā koī apnā milā raat ke is pahar
niiñd kyoñ uḌ ga.ī chain kyoñ kho gayā raat ke is pahar
ye achānak mire saath kyā ho gayā raat ke is pahar
yuuñ lagā mujh ko jaise fazā ḳhushbūoñ se mahakne lagī
phir kisī kī galī se chalī hai havā raat ke is pahar
dil meñ jaagī hai kaisī tamannā na.ī ḳhud maiñ hairān huuñ
ik na.ī aarzū ne mujhe chhū liyā raat ke is pahar
ek manzil basī thī nigāhoñ meñ jaane vo kyā ho ga.ī
aur ḳhud-baḳhud ek gulshan basā raat ke is pahar
us kī bikhrī huī laT ne uljhā.e rakkhā mujhe aur maiñ
chāhtā thā haTā duuñ na mumkin huā raat ke is pahar
aur kyā kījiyegā 'sabīh' us kī ab aap manzar-kashī
pal jo aayā aur aa kar chalā bhī gayā raat ke is pahar
main ne dekha hai kaisa ye sapna naya raat ke is pahar
mujh se bichhDa hua koi apna mila raat ke is pahar
nind kyon uD gai chain kyon kho gaya raat ke is pahar
ye achanak mere sath kya ho gaya raat ke is pahar
yun laga mujh ko jaise faza KHushbuon se mahakne lagi
phir kisi ki gali se chali hai hawa raat ke is pahar
dil mein jagi hai kaisi tamanna nai KHud main hairan hun
ek nai aarzu ne mujhe chhu liya raat ke is pahar
ek manzil basi thi nigahon mein jaane wo kya ho gai
aur KHud-baKHud ek gulshan basa raat ke is pahar
us ki bikhri hui laT ne uljhae rakkha mujhe aur main
chahta tha haTa dun na mumkin hua raat ke is pahar
aur kya kijiyega 'sabih' us ki ab aap manzar-kashi
pal jo aaya aur aa kar chala bhi gaya raat ke is pahar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.