maine ghabra ke jo bhige hue lab chume the
maiñ ne ghabrā ke jo bhīge hue lab chūme the
vaqt-e-ruḳhsat tire rone ke sabab chūme the
apne hoñToñ ke taqaddus pe bahut naaz na kar
tū ne patthar ke tarāshe hue rab chūme the
us kī āñkhoñ se jo ruḳhsār pe Dhalke aañsū
maiñ ne motī kī tarah pyaar se sab chūme the
āsmāñ ko bhī to me.arāj milī jab us ne
paañv insān ke me.arāj kī shab chūme the
mujh ko vahshī na samajh tere mahakte hue lab
maiñ ne ġhaflat meñ bhī bā-hadd-e-adab chūme the
lams abhī tak hai mire hoñToñ pe un hoñToñ kā
aur mujhe ye bhī nahīñ yaad ki kab chūme the
main ne ghabra ke jo bhige hue lab chume the
waqt-e-ruKHsat tere rone ke sabab chume the
apne honTon ke taqaddus pe bahut naz na kar
tu ne patthar ke tarashe hue rab chume the
us ki aankhon se jo ruKHsar pe Dhalke aansu
main ne moti ki tarah pyar se sab chume the
aasman ko bhi to mearaj mili jab us ne
panw insan ke mearaj ki shab chume the
mujh ko wahshi na samajh tere mahakte hue lab
main ne ghaflat mein bhi ba-hadd-e-adab chume the
lams abhi tak hai mere honTon pe un honTon ka
aur mujhe ye bhi nahin yaad ki kab chume the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.