maine har bar ye KHata ki hai
maiñ ne har baar ye ḳhatā kī hai
tere haq meñ sadā duā kī hai
apnī sachchā.iyoñ kī mujrim huuñ
jhuuT se aaj ibtidā kī hai
hai ayaañ mujh pe ye vafā lekin
baat merī nahīñ ḳhudā kī hai
haath uTh kar gireñ duāoñ se
maiñ ne aisī bhī kyā ḳhatā kī hai
sho.ala sho.ala har ik gulistāñ ho
ab ke marzī yahī havā kī hai
main ne har bar ye KHata ki hai
tere haq mein sada dua ki hai
apni sachchaiyon ki mujrim hun
jhuT se aaj ibtida ki hai
hai ayan mujh pe ye wafa lekin
baat meri nahin KHuda ki hai
hath uTh kar giren duaon se
main ne aisi bhi kya KHata ki hai
shoala shoala har ek gulistan ho
ab ke marzi yahi hawa ki hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.