maine har dard ko ek biti kahani samjha
maiñ ne har dard ko ik biitī kahānī samjhā
ḳhuun jo aañkh se Tapkā use paanī samjhā
mujh ko maġhrūr na samjhe ai mirī ḳhāmoshī
jā use gahre samundar kī ravānī samjhā
apne hālāt sunā.e the use sheroñ meñ
vo mire sher ko apnī hī kahānī samjhā
apne qātil pe mujhe rahm bahut aatā hai
jazba-e-ishq ko ma.asūm ne faanī samjhā
vo hai 'imrān' samājoñ ke usūloñ kā ġhulām
us ko nāhaq na mohabbat ke ma.ānī samjhā
main ne har dard ko ek biti kahani samjha
KHun jo aankh se Tapka use pani samjha
mujh ko maghrur na samjhe ai meri KHamoshi
ja use gahre samundar ki rawani samjha
apne haalat sunae the use sheron mein
wo mere sher ko apni hi kahani samjha
apne qatil pe mujhe rahm bahut aata hai
jazba-e-ishq ko masum ne fani samjha
wo hai 'imran' samajon ke usulon ka ghulam
us ko nahaq na mohabbat ke maani samjha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.