maine har ghaib ki aawaz pe bola aaya
maiñ ne har ġhaib kī āvāz pe bolā aaya
jab tirā naam sunā zehn meñ kyā kyā aaya
maiñ to taptī huī us ret pe soyā aise
phir mire paas meñ ik peḌ kā saaya aaya
us kī tasvīr milī aise lipaT kar royā
jaise ghar lauT ke das saal kā bhūlā aaya
us mulāqāt ke baare meñ na pūchho logo
dekho jaate hue hañstā gayā rotā aaya
tū haqīqat meñ mire haath pe phir haath rakhe
maiñ tujhe chhoḌ ke jā.ūñ kahūñ achchhā aaya
haañ tasavvur meñ tasallī se vo āñkheñ dekhīñ
baad muddat ke mire haath meñ kaasa aaya
sach to ye hai ki mirī maut kā kāran vo hai
vo jo tasvīr meñ merī jagah duujā aaya
kyā batā.ūñ ki mohabbat ke safar meñ 'ābis'
pahle kuchh phuul dikhe baad meñ sahrā aaya
main ne har ghaib ki aawaz pe bola aaya
jab tera nam suna zehn mein kya kya aaya
main to tapti hui us ret pe soya aise
phir mere pas mein ek peD ka saya aaya
us ki taswir mili aise lipaT kar roya
jaise ghar lauT ke das sal ka bhula aaya
us mulaqat ke bare mein na puchho logo
dekho jate hue hansta gaya rota aaya
tu haqiqat mein mere hath pe phir hath rakhe
main tujhe chhoD ke jaun kahun achchha aaya
han tasawwur mein tasalli se wo aankhen dekhin
baad muddat ke mere hath mein kasa aaya
sach to ye hai ki meri maut ka karan wo hai
wo jo taswir mein meri jagah duja aaya
kya bataun ki mohabbat ke safar mein 'abis'
pahle kuchh phul dikhe baad mein sahra aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.