maine ek umr guzari to uTha parda-e-KHwab
maiñ ne ik 'umr guzārī to uThā parda-e-ḳhvāb
aur vo 'umr hī kyā jis ko kaheñ ‘arsa-e-ḳhvāb
ḳhvāb-e-zarrīñ kī talab hai to zarā dhyān rahe
baa'z auqāt jalā detā hai ik sho'la-e-ḳhvāb
hujra-e-chashm meñ sab kuchh hai magar ḳhvāb nahīñ
kyā ḳhabar bhuul gayā huuñ maiñ kahāñ basta-e-ḳhvāb
tū rukā thā to mirā ḳhvāb-e-junūñ zard huā
tū chalā hai to bahut sabz huā sabza-e-ḳhvāb
ek lamha ki jahāñ rūh-o-badan mil jaa.eñ
kaash 'ushshāq ko mil jaa.e vo ik lamha-e-ḳhvāb
dil-e-dariyā meñ mire yaar use dekhte haiñ
aa.ine meñ nazar aa saktā nahīñ chehra-e-ḳhvāb
mujh ko Dar hai ki mire bhaa.ī mujhe maar na deñ
ai mire baap sunātā maiñ tujhe qissa-e-ḳhvāb
main ne ek 'umr guzari to uTha parda-e-KHwab
aur wo 'umr hi kya jis ko kahen ‘arsa-e-KHwab
KHwab-e-zarrin ki talab hai to zara dhyan rahe
ba'z auqat jala deta hai ek sho'la-e-KHwab
hujra-e-chashm mein sab kuchh hai magar KHwab nahin
kya KHabar bhul gaya hun main kahan basta-e-KHwab
tu ruka tha to mera KHwab-e-junun zard hua
tu chala hai to bahut sabz hua sabza-e-KHwab
ek lamha ki jahan ruh-o-badan mil jaen
kash 'ushshaq ko mil jae wo ek lamha-e-KHwab
dil-e-dariya mein mere yar use dekhte hain
aaine mein nazar aa sakta nahin chehra-e-KHwab
mujh ko Dar hai ki mere bhai mujhe mar na den
ai mere bap sunata main tujhe qissa-e-KHwab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.