maine iqrar kar ke chahat ka
maiñ ne iqrār kar ke chāhat kā
kiyā iz.hār apnī vahshat kā
mujh se nazreñ milā na paayā vo
yahī andāz hai mohabbat kā
baaz rakkhe na jo gunāhoñ se
koī hāsil hai is malāmat kā
baad muddat ke ham mile haiñ dost
yahī mauqa hai kyā shikāyat kā
sīna-e-dāġh-dāġh dīda-e-nam
ye hai anjām kār-e-ulfat kā
haañ mohabbat kisī ke bas meñ nahīñ
kuchh hai 'kāshif' javāz nafrat kā
main ne iqrar kar ke chahat ka
kiya izhaar apni wahshat ka
mujh se nazren mila na paya wo
yahi andaz hai mohabbat ka
baz rakkhe na jo gunahon se
koi hasil hai is malamat ka
baad muddat ke hum mile hain dost
yahi mauqa hai kya shikayat ka
sina-e-dagh-dagh dida-e-nam
ye hai anjam kar-e-ulfat ka
han mohabbat kisi ke bas mein nahin
kuchh hai 'kashif' jawaz nafrat ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.