maine is shoabda-gar dil ko kahan chhoD diya
maiñ ne is sho.abda-gar dil ko kahāñ chhoḌ diyā
aap ke madd-e-muqābil ko kahāñ chhoḌ diyā
justujū hai to magar yaad nahīñ kis kī hai
zauq-e-rahgīr ne manzil ko kahāñ chhoḌ diyā
kah ga.iiñ kyā tirī nazreñ ki hai vīrān sā dil
lā ke tūfān ne sāhil ko kahāñ chhoḌ diyā
vo nazar terī jo mujh par na thī aur mujh par thī
tū ne us ḳhalvat-e-mahfil ko kahāñ chhoḌ diyā
jal ga.ī sham.a jo baaqī na rahe parvāne
dil-jaloñ ne tirī mahfil ko kahāñ chhoḌ diyā
yaañ na ummīd kā gulshan hai na vīrāna-e-yās
be-ḳhudī tū ne mire dil ko kahāñ chhoḌ diyā
main ne is shoabda-gar dil ko kahan chhoD diya
aap ke madd-e-muqabil ko kahan chhoD diya
justuju hai to magar yaad nahin kis ki hai
zauq-e-rahgir ne manzil ko kahan chhoD diya
kah gain kya teri nazren ki hai viran sa dil
la ke tufan ne sahil ko kahan chhoD diya
wo nazar teri jo mujh par na thi aur mujh par thi
tu ne us KHalwat-e-mahfil ko kahan chhoD diya
jal gai shama jo baqi na rahe parwane
dil-jalon ne teri mahfil ko kahan chhoD diya
yan na ummid ka gulshan hai na virana-e-yas
be-KHudi tu ne mere dil ko kahan chhoD diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.