maine jab jab bhi aaina dekha
maiñ ne jab jab bhī aa.ina dekhā
ḳhud se ḳhud kā muqābla dekhā
sirf tujh se bichhaḌ ke duniyā meñ
apnī hastī ko jā-ba-jā dekhā
dar pe tere na jhuk sakā jo bhī
us ko dar dar hī phir jhukā dekhā
surḳhiyoñ meñ rahe jo qad-āvar
un kā īmān bhī Digā dekhā
ashk sūkhe to us ke tevar meñ
phir baġhāvat kā zalzala dekhā
jis ko aadhā samajh rahā thā maiñ
us ko apne se do-gunā dekhā
she'r mere paḌhe zamāne ne
kis ne merā thā ratjagā dekhā
main ne jab jab bhi aaina dekha
KHud se KHud ka muqabla dekha
sirf tujh se bichhaD ke duniya mein
apni hasti ko ja-ba-ja dekha
dar pe tere na jhuk saka jo bhi
us ko dar dar hi phir jhuka dekha
surKHiyon mein rahe jo qad-awar
un ka iman bhi Diga dekha
ashk sukhe to us ke tewar mein
phir baghawat ka zalzala dekha
jis ko aadha samajh raha tha main
us ko apne se do-guna dekha
she'r mere paDhe zamane ne
kis ne mera tha ratjaga dekha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.