maine jo nam mohabbat se pukare sare
maiñ ne jo naam mohabbat se pukāre saare
ban ga.e vo mirī palkoñ ke sitāre saare
umr bhar kaun bhalā saath yahāñ chaltā hai
do qadam ke haiñ mirī jaan sahāre saare
kaun baiThegā yahāñ aur kise jaanā hai
jāntā huuñ tirī āñkhoñ ke ishāre saare
kaam ā.eñgī kisī roz ye merī ġhazleñ
paas rakhnā ye mire ġham ke shumāre saare
terī yādoñ meñ diyā hijr pe pahrā ham ne
jāgtī āñkhoñ se din-rāt guzāre saare
mere chandā ne idhar chhat meñ qadam kyā rakkhā
dekhne aa.e use chāñd sitāre saare
shab ga.e dasht meñ ik jashn bapā hotā hai
aa nikalte haiñ yahāñ dard ke maare saare
tum ne chhoḌī na agar sach kī parastish 'az.har'
chhoḌ jā.eñge tumheñ yaar tumhāre saare
main ne jo nam mohabbat se pukare sare
ban gae wo meri palkon ke sitare sare
umr bhar kaun bhala sath yahan chalta hai
do qadam ke hain meri jaan sahaare sare
kaun baiThega yahan aur kise jaana hai
jaanta hun teri aankhon ke ishaare sare
kaam aaengi kisi roz ye meri ghazlen
pas rakhna ye mere gham ke shumare sare
teri yaadon mein diya hijr pe pahra hum ne
jagti aankhon se din-raat guzare sare
mere chanda ne idhar chhat mein qadam kya rakkha
dekhne aae use chand sitare sare
shab gae dasht mein ek jashn bapa hota hai
aa nikalte hain yahan dard ke mare sare
tum ne chhoDi na agar sach ki parastish 'azhar'
chhoD jaenge tumhein yar tumhaare sare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.