maine junun mein kya kiya tujhko KHuda bana diya
maiñ ne junūñ meñ kyā kiyā tujh ko ḳhudā banā diyā
naam tirā jahāñ sunā sajde meñ sar jhukā diyā
sadma-e-ranj-o-ġham nahīñ tujh se ḳhizāñ gila nahīñ
shikva hai us bahār se jis ne chaman jalā diyā
mere liye zamīn bhī aur ye āsmān bhī
ziist ke is ahāta meñ tum ne mujhe phañsā diyā
shikve shikāyateñ kahīñ nāla-o-ashk-e-ġham kahīñ
maiñ ne vafā kī raah meñ apnā jo thā luTā diyā
dard se siina bhar uThā palkeñ bhī phir se nam huiiñ
phir se vo yaad aa gayā phir use bhulā diyā
shahr-e-vafā kī raah meñ ek charāġh-e-rāh thā
āñdhiyoñ ke itaab ne us ko bhī ab sikhā diyā
ab koī mudda'ā nahīñ himmat-e-iltijā nahīñ
duniyā ne mujh ko kyā diyā ḳhaak meñ milā diyā
kaafī nahīñ mirā gila shikva-e-dard ke liye
aa ke mazār par mire āñsuoñ se sajā diyā
main ne junun mein kya kiya tujh ko KHuda bana diya
nam tera jahan suna sajde mein sar jhuka diya
sadma-e-ranj-o-gham nahin tujh se KHizan gila nahin
shikwa hai us bahaar se jis ne chaman jala diya
mere liye zamin bhi aur ye aasman bhi
zist ke is ahata mein tum ne mujhe phansa diya
shikwe shikayaten kahin nala-o-ashk-e-gham kahin
main ne wafa ki rah mein apna jo tha luTa diya
dard se sina bhar uTha palken bhi phir se nam huin
phir se wo yaad aa gaya phir use bhula diya
shahr-e-wafa ki rah mein ek charagh-e-rah tha
aandhiyon ke itab ne us ko bhi ab sikha diya
ab koi mudda'a nahin himmat-e-iltija nahin
duniya ne mujh ko kya diya KHak mein mila diya
kafi nahin mera gila shikwa-e-dard ke liye
aa ke mazar par mere aansuon se saja diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.