maine kaghaz pe sajae hain jo tabut na khol
maiñ ne kāġhaz pe sajā.e haiñ jo tābūt na khol
jī uThe lafz to maiñ ḳhauf se mar jā.ūñgā
kaun ḳhushbū se havāoñ kā badan chhīntā hai
tū mire saath rahegā maiñ jidhar jā.ūñgā
reg-e-sāhil se rahī apnī shanāsā.ī to phir
ek din gahre samundar meñ utar jā.ūñgā
chāñd-tāroñ kī tarah maiñ bhī huuñ gardish meñ 'rashīd'
haañ agar tū ne pukārā to Thahar jā.ūñgā
main ne kaghaz pe sajae hain jo tabut na khol
ji uThe lafz to main KHauf se mar jaunga
kaun KHushbu se hawaon ka badan chhinta hai
tu mere sath rahega main jidhar jaunga
reg-e-sahil se rahi apni shanasai to phir
ek din gahre samundar mein utar jaunga
chand-taron ki tarah main bhi hun gardish mein 'rashid'
han agar tu ne pukara to Thahar jaunga
- Book : Fasiil-e-lab (Pg. 75)
- Author : Rashiid Qaisarani
- Publication : Aiwan-e-urdu Taimuriya karachi (1973)
- Edition : 1973
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.