Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

maine kab apni wafaon ka sila manga tha

Mahendra Partap Chand

maine kab apni wafaon ka sila manga tha

Mahendra Partap Chand

MORE BYMahendra Partap Chand

    maiñ ne kab apnī vafāoñ sila māñgā thā

    ik tabassum tirā bahr-e-ḳhudā māñgā thā

    kyā ḳhabar thī ki mirī nīñdeñ ujaḌ jā.eñgī

    maiñ ne kho.e hue ḳhvāboñ patā māñgā thā

    dast-e-gul-chīñ ne bhī gulshan se vahī phuul chunā

    maiñ ne jis gul ke liye dast-e-sabā māñgā thā

    shiddat-e-ġham meñ du'ā thī tujhe bhūlne

    ab bhare zaḳhm to nādim huuñ ye kyā māñgā thā

    bas isī baat pe barham hai zamāna mujh se

    apne bad-ḳhvāhoñ bhī maiñ ne bhalā māñgā thā

    ik guzārish bhī na ho paa.ī qubūl us ke huzūr

    ġhāliban maiñ ne kuchh had se sivā māñgā thā

    chūḌiyāñ TūTīñ to zaḳhmoñ se lahū-rang huī

    jis hathelī ne zarā rañg-e-hinā māñgā thā

    ne har ġham se navāzā hai tirā ḳhaas karam

    mujh ko to ye bhī nahīñ yaad ki kyā māñgā thā

    āfateñ sahne yaarā bhī to detā yaar ab

    aur to kuchh bhī nahīñ us ke sivā māñgā thā

    ye alag baat milā karb-e-musalsal varna

    ham ne jo māñgā vo ba-sidq-o-safā māñgā thā

    zehn par 'chāñd' phir ik barq lahrāne lagī

    dil ne maazī ke nihāñ-ḳhānoñ se kyā māñgā thā

    main ne kab apni wafaon ka sila manga tha

    ek tabassum hi tera bahr-e-KHuda manga tha

    kya KHabar thi ki meri ninden ujaD jaengi

    main ne khoe hue KHwabon ka pata manga tha

    dast-e-gul-chin ne bhi gulshan se wahi phul chuna

    main ne jis gul ke liye dast-e-saba manga tha

    shiddat-e-gham mein du'a ki thi tujhe bhulne ki

    ab bhare zaKHm to nadim hun ye kya manga tha

    bas isi baat pe barham hai zamana mujh se

    apne bad-KHwahon ka bhi main ne bhala manga tha

    ek guzarish bhi na ho pai qubul us ke huzur

    ghaaliban main ne hi kuchh had se siwa manga tha

    chuDiyan TuTin to zaKHmon se lahu-rang hui

    jis hatheli ne zara rang-e-hina manga tha

    tu ne har gham se nawaza hai tera KHas karam

    mujh ko to ye bhi nahin yaad ki kya manga tha

    aafaten sahne ka yara bhi to deta yar ab

    aur to kuchh bhi nahin us ke siwa manga tha

    ye alag baat mila karb-e-musalsal warna

    hum ne jo manga wo ba-sidq-o-safa manga tha

    zehn par 'chand' phir ek barq si lahrane lagi

    dil ne mazi ke nihan-KHanon se kya manga tha

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now