maine kahin thin aap se baaten bhali bhali
maiñ ne kahīñ thiiñ aap se bāteñ bhalī bhalī
rusvā kiyā hai aap ne mujh ko galī galī
maiñ ne kahā nahīñ thā ki sho.ala-badan haiñ log
ab kyuuñ dikhā rahe ho hathelī jalī jalī
gulshan meñ jo chalī hai havā kitnī tez hai
bikhrī paḌī hai shāḳh se kaT kar kalī kalī
ek aur shab kī raah meñ āñkheñ bichhā.iye
ye shab ba-sūrat-e-shab-e-rafta Dhalī Dhalī
kaise sarak sarak ke bharī gāgareñ girīñ
jab mere saath saath koī manchalī chalī
maiñ ne ġhazal sunā.ī to ik ahl-e-dil 'rashīd'
siine pe haath rakh ke pukārā valī valī
main ne kahin thin aap se baaten bhali bhali
ruswa kiya hai aap ne mujh ko gali gali
main ne kaha nahin tha ki shoala-badan hain log
ab kyun dikha rahe ho hatheli jali jali
gulshan mein jo chali hai hawa kitni tez hai
bikhri paDi hai shaKH se kaT kar kali kali
ek aur shab ki rah mein aankhen bichhaiye
ye shab ba-surat-e-shab-e-rafta Dhali Dhali
kaise sarak sarak ke bhari gagaren girin
jab mere sath sath koi manchali chali
main ne ghazal sunai to ek ahl-e-dil 'rashid'
sine pe hath rakh ke pukara wali wali
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.