maine kal panw tere shahr mein kya rakkha tha
maiñ ne kal paañv tire shahr meñ kyā rakkhā thā
dil kī har mauj ne tūfān uThā rakkhā thā
log baḳhshish kī duā maañg rahe the jis shab
maiñ ne hoñToñ pe tirā naam sajā rakkhā thā
kashtiyāñ apnī thakan aaj utāreñ kaise
aaj sāhil ne bhī tūfān chhupā rakkhā thā
tū to dariyā hai mirī pyaas se kyā uljhegā
Thokaroñ meñ mirī kal karb-o-balā rakkhā thā
mere fan ne mujhe baḳhshī hai adab meñ shohrat
varna duniyā ne mirā naam dabā rakkhā thā
dhuup nafrat kī jaḌeñ kaaT rahī hai us kī
ham ne jo peḌ mohabbat kā lagā rakkhā thā
dil añdheroñ kā guzar kaise vahāñ ho jaatā
ham ne āñgan meñ charāġhoñ ko jalā rakkhā thā
main ne kal panw tere shahr mein kya rakkha tha
dil ki har mauj ne tufan uTha rakkha tha
log baKHshish ki dua mang rahe the jis shab
main ne honTon pe tera nam saja rakkha tha
kashtiyan apni thakan aaj utaren kaise
aaj sahil ne bhi tufan chhupa rakkha tha
tu to dariya hai meri pyas se kya uljhega
Thokaron mein meri kal karb-o-bala rakkha tha
mere fan ne mujhe baKHshi hai adab mein shohrat
warna duniya ne mera nam daba rakkha tha
dhup nafrat ki jaDen kaT rahi hai us ki
hum ne jo peD mohabbat ka laga rakkha tha
dil andheron ka guzar kaise wahan ho jata
hum ne aangan mein charaghon ko jala rakkha tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.