maine KHud ko mar diya hai ab KHush ho na
maiñ ne ḳhud ko maar diyā hai ab ḳhush ho nā
jurm-e-mohabbat kī ye sazā hai ab ḳhush ho nā
har ḳhvāhish siine ke andar dafn huī hai
har jazbe kā ḳhuun huā hai ab ḳhush ho nā
dil kī barbādī meñ tumhārā daḳhl nahīñ hai
ye merī qismat kā likhā hai ab ḳhush ho nā
merī udaas āñkhoñ meñ jo ik ḳhvāb sajā thā
vo to kab kā TuuT chukā hai ab ḳhush ho nā
rasm-e-vafā kā paas rakhā hai hoñT siiye haiñ
tum ne jo bolā vo kahā hai ab ḳhush ho nā
dekho tumhāre zo'm pe koī harf nā aaya
jo kuchh hai vo merī ḳhatā hai ab ḳhush ho nā
maiñ ġhazloñ meñ had se sivā mohtāt rahī huuñ
jo dil meñ thā dil meñ rakhā hai ab ḳhush ho nā
us ne 'sanā' āñkhoñ ko merī ashk diye aur
ab vo mujh se pūchh rahā hai ab ḳhush ho nā
main ne KHud ko mar diya hai ab KHush ho na
jurm-e-mohabbat ki ye saza hai ab KHush ho na
har KHwahish sine ke andar dafn hui hai
har jazbe ka KHun hua hai ab KHush ho na
dil ki barbaadi mein tumhaara daKHl nahin hai
ye meri qismat ka likha hai ab KHush ho na
meri udas aankhon mein jo ek KHwab saja tha
wo to kab ka TuT chuka hai ab KHush ho na
rasm-e-wafa ka pas rakha hai honT siye hain
tum ne jo bola wo kaha hai ab KHush ho na
dekho tumhaare zo'm pe koi harf na aaya
jo kuchh hai wo meri KHata hai ab KHush ho na
main ghazlon mein had se siwa mohtat rahi hun
jo dil mein tha dil mein rakha hai ab KHush ho na
us ne 'sana' aankhon ko meri ashk diye aur
ab wo mujh se puchh raha hai ab KHush ho na
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.