Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

maine kis shauq se ek umr ghazal-KHwani ki

Shabnam Rumani

maine kis shauq se ek umr ghazal-KHwani ki

Shabnam Rumani

MORE BYShabnam Rumani

    maiñ ne kis shauq se ik umr ġhazal-ḳhvānī

    kitnī gahrī haiñ lakīreñ merī peshānī

    vaqt hai mere ta.āqub meñ chhupā le mujh ko

    jū-e-kam-āb qasam tujh ko tire paanī

    yuuñ guzartī hai rag o pai se tirī yaad lahar

    jaise zanjīr chhanak uThtī hai zindānī

    ajnabī se nazar aa.e tire chehre ke nuqūsh

    jab tire husn pe maiñ ne nazar-e-sānī

    mujh se kahtā hai koī aap pareshān na hoñ

    mirī zulfoñ ko to aadat hai pareshānī

    zindagī kyā hai tilismāt vaadī safar

    phir bhī fursat nahīñ miltī mujhe hairānī

    vo bhī the zikr bhī thā rañg-e-ġhazal 'shabnam'

    phir to maiñ ne sar-e-mahfil vo gul-afshānī

    main ne kis shauq se ek umr ghazal-KHwani ki

    kitni gahri hain lakiren meri peshani ki

    waqt hai mere taaqub mein chhupa le mujh ko

    ju-e-kam-ab qasam tujh ko tere pani ki

    yun guzarti hai rag o pai se teri yaad ki lahar

    jaise zanjir chhanak uThti hai zindani ki

    ajnabi se nazar aae tere chehre ke nuqush

    jab tere husn pe main ne nazar-e-sani ki

    mujh se kahta hai koi aap pareshan na hon

    meri zulfon ko to aadat hai pareshani ki

    zindagi kya hai tilismat ki wadi ka safar

    phir bhi fursat nahin milti mujhe hairani ki

    wo bhi the zikr bhi tha rang-e-ghazal ka 'shabnam'

    phir to main ne sar-e-mahfil wo gul-afshani ki

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Shabnam Rumani

    Shabnam Rumani

    Source :
    • Book : Beesveen Sadi Ki Behtareen Ishqiya Ghazlen (Pg. 128)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now