maine koshish ki magar tere mutabiq na bana
maiñ ne koshish kī magar tere mutābiq na banā
aur tū bhī to kabhī mere muāfiq na banā
be-adab aur gunahgār sahī ulfat meñ
tū magar mujh ko mohabbat kā munāfiq na banā
lauT aa dil ko qarār aa.egā aane se tire
be-yaqīnī na baḌhā ishq kā fāsiq na banā
matlabī log mile mujh ko sabhī duniyā meñ
dost ab tak to mirā koī bhī sādiq na banā
de na is dil ko judā.ī kī sazā jān-e-jāñ
apnā rahne de mujhe māzī-o-sābiq na banā
terī sāñseñ bhī kisī shaḳhs se vābasta hoñ
is qadar ḳhud ko kisī kā kabhī shā.eq na banā
tere qaabū meñ rahegā na kabhī dil terā
'sād' is dil kā kisī shaḳhs ko ḳhāliq na banā
main ne koshish ki magar tere mutabiq na bana
aur tu bhi to kabhi mere muafiq na bana
be-adab aur gunahgar sahi ulfat mein
tu magar mujh ko mohabbat ka munafiq na bana
lauT aa dil ko qarar aaega aane se tere
be-yaqini na baDha ishq ka fasiq na bana
matlabi log mile mujh ko sabhi duniya mein
dost ab tak to mera koi bhi sadiq na bana
de na is dil ko judai ki saza jaan-e-jaan
apna rahne de mujhe mazi-o-sabiq na bana
teri sansen bhi kisi shaKHs se wabasta hon
is qadar KHud ko kisi ka kabhi shaeq na bana
tere qabu mein rahega na kabhi dil tera
'sad' is dil ka kisi shaKHs ko KHaliq na bana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.