maine kuchh aur kaha usne suna aur se aur
maine kuchh aur kaha usne suna aur se aur
Hakeem Aagha Jan Aish
MORE BYHakeem Aagha Jan Aish
maiñ ne kuchh aur kahā us ne sunā aur se aur
thā savāl aur javāb us ne diyā aur se aur
aisā bahrūp badalte nahīñ dekhā ham ne
ban gayā aa.ina paate hī safā aur se aur
khīñch lā.egī mire ghar use ai ham-nafaso
aah kī aaj vo palTī hai havā aur se aur
is tarah rañg badaltā hai zamāna dam dam
rañg jis tarah badaltī hai hinā aur se aur
ye ġhazal jis ne sunī us ne kahā vaah jī vaah
'aish' kyā ḳhuub biThāyā hai bajā aur se aur
main ne kuchh aur kaha us ne suna aur se aur
tha sawal aur jawab us ne diya aur se aur
aisa bahrup badalte nahin dekha hum ne
ban gaya aaina pate hi safa aur se aur
khinch laegi mere ghar use ai ham-nafaso
aah ki aaj wo palTi hai hawa aur se aur
is tarah rang badalta hai zamana dam dam
rang jis tarah badalti hai hina aur se aur
ye ghazal jis ne suni us ne kaha wah ji wah
'aish' kya KHub biThaya hai baja aur se aur
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.