maine lakh dekhe sitam magar ye tera sitam to ajib hai
maiñ ne laakh dekhe sitam magar ye tirā sitam to ajiib hai
kabhī paas ho ke bhī duur hai kabhī duur ho ke qarīb hai
maiñ bigaḌ gayā tirī ik nazar se vagarna mujh ko to dekh kar
ye galī kī aurteñ boltīñ ise dekho kaisā najīb hai
tū ho sāmne to bhī be-ḳhudī na ho sāmne to bhī dil jale
mire kis gunah kī sazā ye dī ki tapīdgī hī nasīb hai
tire sehr kā maiñ shikār ho ke tire qarīb jo aa gayā
to pata chalā ye mujhe ki tujh se jo duur hai vo labīb hai
ye duā bhī hai ki na vasl ho ye duā bhī hai ki na hijr ho
mire marz-e-dil kā sabab hai tū mire dil kā tū hī tabīb hai
kabhī be-ruḳh itnā ki ḳhaar ho kabhī multafit to nisār ho
tirī ye adā bhī habīb hai tirī vo adā bhī habīb hai
ye zamāna ahl-e-zamāna sab mujhe bhuul jaa.eñ gila nahīñ
tū na bhūlnā ki 'ma.āz' bhī tire mai-kade kā raqīb hai
main ne lakh dekhe sitam magar ye tera sitam to ajib hai
kabhi pas ho ke bhi dur hai kabhi dur ho ke qarib hai
main bigaD gaya teri ek nazar se wagarna mujh ko to dekh kar
ye gali ki aurten boltin ise dekho kaisa najib hai
tu ho samne to bhi be-KHudi na ho samne to bhi dil jale
mere kis gunah ki saza ye di ki tapidgi hi nasib hai
tere sehr ka main shikar ho ke tere qarib jo aa gaya
to pata chala ye mujhe ki tujh se jo dur hai wo labib hai
ye dua bhi hai ki na wasl ho ye dua bhi hai ki na hijr ho
mere marz-e-dil ka sabab hai tu mere dil ka tu hi tabib hai
kabhi be-ruKH itna ki KHar ho kabhi multafit to nisar ho
teri ye ada bhi habib hai teri wo ada bhi habib hai
ye zamana ahl-e-zamana sab mujhe bhul jaen gila nahin
tu na bhulna ki 'maaz' bhi tere mai-kade ka raqib hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.